Jab Bhi Rut Gadrai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai,
Jab Bhi Chand Zara Aangan Pe Thehra Aankhein Bheeg Gai,

Taiz Hawa Jab Hum Ko Pagal Keh Kar Pas Se Guzri To,
Hum Ne Us Ki Baat Pe Hansna Chaha Aankhein Bheeg Gai,

Koi Sard Hawa Ka Jhonka Chou Kar Guzra Balon Ko,
Koi Badal Sa Aankhon Mein Utra Aankhein Bheeg Gai,

Kal Main Younhi Ghair Iradi Tor Pe Sada Kaghaz Par,
Likhte Likhte Jane Kaya Likh Betha Aankhein Bheeg Gai,

FARHAT Jee Mat Poocho Hum Jese Deewanon Ki Khushiyan,
Hanste Hanste Jonhi Dil Mein Jhanka Aankhein Bheeg Gai...

Poet Farhat Abas Shah

Comments