Iss qadar talkhi-e-ayyam mere saath hee kiyon

Iss qadar talkhi-e-ayyam mere saath hee kiyon
Wehshatin ye gham-o-aalaam mere saath hee kiyon

Kiyon mere saath rahen hijar ki kaali raatin
Dard mein doobi huwi shaam mere saath hee kiyon

Ay Khuda main ne jise manga hai mera kar de
Piyaar mein aur koi naam mere saath hee kiyon

Ye udaasi ye siyaahi ye maqam-e-hasrat
Ye judaai se bhara jaam mere saath hee kiyon

Ay firaaq-e-rukh-e-zeba mera saaya ban kar
TU sada rahta hai har gaam mere saath hee kiyon

Soony soony se darechy mere ghar k Rashid
Ujrey ujrey se dar-o-baam mere saath hee kiyon

Comments