Hawa thami thi zarur lakin,

Hawa thami thi zarur lakin,
Wo sham jaisy sisak rahi thi,

K zard patton ko andhion ne,
Ajeeb qisa suna dia tha,
K jis ko sun kar tamam patay,
Sisk rahy thay bilak rahy rahy thay,

Jane kis sanatay k ghum mein,
Shajar jarron se ukhar chukay thy,
Bhot talash kiya hum ne tumko,
Har aik rasta Har aik wadi,
Har aik parbat Har aik ghati,

kahin se teri khabar na aai,
ye keh k hum ne dil ko tala,
Hawa thamay gi to dekh lengay,
Hum os k raston ko dhondh lengy,

Magar hamari ye khush khayali,
Jo hum ko barbad kar gai thi,
Hawa thami thi zarur lekin...
Barri hi mudat guzar chuki thi,

Hamary balon k junglon mein,
Magar ye almiya tha sab se badtar,
K tum hamary nhi rahy thy!
HAWA ThamI Thi zRooR lekiN..

Comments