Teri Rehmaton K Diyaar Mein Teray Badalon Ko Pata Nahi

Teri Rehmaton K Diyaar Mein Teray Badalon Ko Pata Nahi
Abhi Aag Sard Nahi Huwi Abhi Ek Alao Bujha Nahi

Meri Bazm-e-Dil To Ujarr Chuki, Mera Farsh-e-Jaan To Simmat Chuka
Sabhi Ja Chukay Meray Hum-Nasheen Magar Eik Shakhs Gaya Nahi

Dar-o-Baam Sub Ne Saja Liye, Sabhi Roshni Mein Nehaa Liye
Meri Ungliyan Bhi Julas Gayein Magar Ek Charaagh Jala Nahi

Gham-e-Zindagi Teri Rah Mein, Shab-e-Aarzo Teri Chah Mein
Jo Ujarr Gaya Wo Basa Nahi, Jo Bicharr Gaya Wo Milla Nahi

Jo Dil-o-Nazar Ka Saroor Tha Meray Paas Reh K Bhi Door Tha
Wohi Ek Ghulaab Umeed Ka, Meri Shaakh-e-Jaan Pe Khila Nahi

Pass-e-Kaarwan, Sar-e-Rehguzar Mein Shikasta Paa Hoon To Is Liye
K Qadam To Sub Se Mila Liye Mera Dil Kisi Se Mila Nahi

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai To Ajeeb-Tar Hoon Mein Aap Bhi
Mujhey Manzilon Ki Khabar Nahi Usay Raston Ka Pata Nahi

Comments

  1. Can you tell me who is the original writer of this ghazal?

    ReplyDelete

Post a Comment