Safar Ki Hadd Hai Wahaan Tak k Kuch Nishaan Rahe

Safar Ki Hadd Hai Wahaan Tak k Kuch Nishaan Rahe
Chaley Chalo k Jahaan Tak ye Aasmaan Rahe

Ye Kiya Uthaaye Qadam Aur Aa Gayi Manzil
Mazaa To Jab Hai k Pairo'n Mein Kuch Thakan Rahe

Wo Shakhs Mujh ko koi Jaal-Saaz Lagata Hai
Tum Us ko Dost Samajhate ho Phir Bhi Dhiyaan Rahe

Mujhe Zameen Ki Gehraaiyon ne Dabb Liya
Main Chaahta Tha Mere Sar pe Aasmaan Rahe

Ab Apne Beech Maraasim Nahi Adaavat Hai
Magar Ye Baat Hamaare Hi Darmiyaan Rahe

Magar Sitaaro'n Ki Faslain Ugaa Saka Na Koi
Meri Zameen pe Kitne Hi Aasmaan Rahe

Wo Ek Sawaal hai phir Us Ka Saamana Ho Gaa
Duaa Karo k Salaamat Meri Zabaan Rahe
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page,
.
.
https://www.facebook.com/pages/Bewafalarka/344112025695477

Comments

Post a Comment