Mataa-e-Shaam Bastiyon Mein Chorr Aaye

Mataa-e-Shaam Bastiyon Mein Chorr Aaye
Bhujey Charagh Hum Apney Gharon Mein Chorr Aaye

Bicharr K Tujh Se Chale To Ab K Youn Huwa
K Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chorr Aaye

Hum Apni Darbadri Ka Mushaida Aksar
Nasihaton Ki Tarah Kum Sino'n Mein Chorr Aaye

Khiraj-e-Seel Balaa Is Se Barh K Kiya Ho K Log
Khule Makaan Bhari Barish Mein Chorr Aaye

Ghirrey Hain Lashkar Aadad Mein Aur Sochte Hain
Hum Apney Teer To Apni Saf'foon Mein Chorr Aaye

Hawa Hi Din Mein Parinday Uraaye Phirti
Hawa Hi Phir se Unhein Ghonsloon Mein Chorr Aaye

Kise Khabar Hai K Zakhmi Ghazaal Kis K Liye?
Nishaan Lahoo K Ghaney Jangalon Mein Chorr Aaye

Hamaray Baad Bhi Ronaq Rahe Gi Maqtal Mein
Hum Ahl-e-Dil Ko Bharey Hoslon Mein Chorr Aaye

Urain Ge Kiya Woh Parinday Jo Apnay Rizq Samait
Safar Ka Shoq Bhi Toote Parron Mein Chorr Aaye

Sadaa Sukhi Rahein Chehray Wo Jinhein Mohsin
Bujhey Gharon Ki Khuli Khirrkiyon Mein Chorr Aaye

Comments