JO YAAD AON TO LAUT Aana..

Wo ankhon ankhon me baat karna,
Wo baaton baaton me raat karna

Hansi chupane ko lab k agay,
Haseen komal se hath karna

Kabhi hasana Kabhi rulana,
Jo yad aon to laut ana

Humein tumhari he justajo hai,
Tumhari chahat ki arzo hai

Ye baat kabhi to samjho,
Hamari chup me bhi guftugo hai

Samajh sako to humain batana,
JO YAAD AON TO LAUT Aana..   

Comments

Post a Comment