Raaz Jo Dil Main Muqafal Raha, Khula Kab Tha,

Raaz Jo Dil Main Muqafal Raha, Khula Kab Tha,
Aap Ne Dil K Band Darechon Main Jhanka Kab Tha,

Jaanay Q Ho Gayi Afsurda Fiza-e-Gulshan,
Main Ne Kaliyon Se Haal-e-Dil Abhi Kaha Kab Tha,

Wo To Taqdeer Ne Ik But Tarash Rakha Hai,
Warna Mujh Main Tujhay Paanay Ka Hosla Kab Tha,

Tu Ne Q Shor Ye Mehshar Ka Bapa Kar Daala,
Zindagi, Ashk Meri Aankh Se Chalka Kab Tha,

Wo To Majboor Hon Main Khu-e-Khud Farebi Se,
Jo Meri Rooh Ka Unwaan Hai, Mera Kab Tha,

Meri Aadat Hai Sarabon K Peechay Chalnay Ki,
Main Ne Hasil Ka Taqaza Kabi Kiya Kab Tha,

Kaisay Uthi Hain Mitaanay Ko Sarphiri Maojain,
Main Ne Sahil Pe Tera Naam Abi Likha Kab Tha,

Wo Jis Main Kho Gaya Anjaan Khwahishon Ka Wajood,
Meri Sochon Ka Dhuwan Tha, Koi Sahra Kab Tha,

Hazaron Dard K Maaray Mujhay Lachaar Milay,
Main Teray Koocha-o-Bazaar Main Tanha Kab Tha,

Meri Hasti Teri Yaadon Ki Sajda-Gaah Hoti,
Tu Ne Dil Se Mera Khayal Tarasha Kab Tha,

Fareb-e-Hussn Main Ye Umar Luta Di Hum Ne,
Laot Jao Gay Tum Ik Roz Yeh Socha Kab Tha,

Aasmaanon Pe Lahoo Ki Bisat Phail Gayi,
Abhi Palkon Ne Teray Naam Ko Chooma Kab Tha,

Wo Jis Wajood Se Roshan Hain Nigaahain Apni,
Hum Ne Uss Hussn Ki Jaanib Kabi Dekha Kab Tha,

Meri Yaadon Se Nikalna Teray Bas Main Hi Na Ho,
Tu Ne Iss Darja Mujhay Toot Ke Chaha Kab Tha,

Be-Nawaazon Ne Torr Daala Khamoshi Ka Bharam,
Dharknaon Ne Abi Uss Saaaz Ko Chera Kab Tha,

Comments