Mitti Tha Mein Khameer Teray Naaz Se Utha,

Mitti Tha Mein Khameer Teray Naaz Se Utha,
Phir Haft Aasmaa'n Meri Parwaaz Se Utha,

Insaan Ho Kisi bhi Sadi Ka Kaheen ka Ho,
Ye Jab Utha Zameer ki Aawaaz Se Utha,

Subah-e-Chaman Mein Ik Yehi Aaftaab tha,
Iss Aadmi ki Laash ko Aizaaz Se Utha,

Soo Kartaboo'n Se Likha Gaya Ik Ik Lafz,
Lekin Ye Jab Utha Kisi Ijaaz Se Utha,

Ay Sheh-Sawaar-e-Hussn Ye Dil Hai Ye Mera Dil,
Ye Teri Sar-Zameen Hai Qadam Naaz Se Utha,

Mein Pooch Loon kiya Hai Mera Jabr-o-Ikhtiyaar,
YA RAB Ye Masla kabhi Aaghaaz Se Utha,

Wo Abr Shabnami Tha k Nehla Gaya Wajood,
Mein Khuwaab Dekhta Huwa Ilfaz Se Utha,

Shaair ki Aankh Ka Wo Sitaara Huwa ALeeM,
Qaamat Mein Jo Qayamati Andaaz Se Utha,

Comments