Kya andheron k dukh kya ujalon k dukh

Kya andheron k dukh kya ujalon k dukh
jab hara dein muqadar ki chalon k dukh

jinki ankhein nahi wo na royen kabi
jan jayen agar ankh walon k dukh

meri manzil kahan hamsafar hai kidhar
maar dalein gey ab in sawalon k dukh

tum mile ho tmhari mohobat nahi,
hijar se barh gaye hein wisalon k dukh

Do ghari k liye pas betho agar
bhol jaty hain hum kitne salon k dukh

meri sochon k jalte hue dasht se
cheen le aa k apne khayalon k dukh

Comments