Chanab Dharti Ka Meetha Lehja, Ajeeb Khuwabon Si Gufto-Gu Thi
Wo Paar Darya K Rehne Wali Meri Nigahon K Ru-Ba-Ru Thi
Guzshta Shab Wo Gulon Ki Malka Dil-o-Nazar Mein Youn Aa Basi Thi
Ragon Mein Ban K Lahu Rawan Thi Wo Meri Sanson Mein Ku-Ba-Ku Thi
Na Us Ki Zulfon Ki Badli Chaye, Shab-e-Siyah Ka Bharam Isi Mein
Na Us K Chehry Ka Samana Ho Isi Mein Suraj Ki Aab-Ru Thi
Meri Ghazal K Har Ik Misry Se Q Na Khushbu Usi Ki Aye
Wo Mere Lafzon Ki JustJu Thi Wo Meri Sochon Men Char-Su Thi
Hai Naqsh MOhsin Dil Pe Mere Mohabaton Ki Wo Shab Abhi Tak
Mein Ik Bhatka Huwa Musafir Wo Jese Sehra Mein Aab-Ju Thi

Comments
Post a Comment