Bajaaye Ashq, Lahu Chashm-e-Tar Mein Rakhta Hoon,
Saja k Gham ki Amaanat ko Ghar Mein Rakhta Hoon,
Nahi Hai Khauf Mujhe, Raah k Andheron Ka,
K ManziloN k Ujaale, Nazar Mein Rakhta Hoon,
Wo Ek Tarrap, Jo Nahi Bijliyon ko Bhi Haasil,
Mein Apne Toote Huwe Baal-o-Par Mein Rakhta Hoon,
Ye Aur Baat Hai, Khamosh Hon Sar-e-Mehfil,
Hazaar Shikve Dil-e-Gham-Asar Mein Rakhta Hoon,
Tera Khayaal, Teri Aarzoo, Tere Jalway,
Na Pooch Mujh Se, Mein Kiya Kiya Nazar Mein Rakhta Hoon,
Mein Kiya Bataon k Kin Azmaton ka Haasil Hai,
Jo Zauq-e-Bandagi Mein Apne Sar Mein Rakhta Hoon,
Na Jaane Konsi Jaanib Se Koi Aa Jaaye,
Jalaa k Shama Har Ek Reh-Guzar Mein Rakhta Hoon,
Qafas Mein Mujh ko Zamaana Huwa, Magar Kaavish,
Junoon-e-Rafa'at-e-Parvaaz Sar Mein Rakhta Hoon,

Comments
Post a Comment