Khwab tha Deeda e bedaar Talak aaya tha

Khwab tha Deeda e bedaar Talak aaya tha
Dasht barrhta Hua deewaar Talak aaya tha

Ab maen Khaamosh agar Rehta to izat Jaati
Mera dushman Mere kirdaar Talak aaya tha

Itna girya hua Maqtal main
Ke taoba taoba
Zakhm khud
Chal ke azaadaar Talak aaya tha

Ishq kuchh soch Ke khaamosh Raha tha warna
Husn bikta hua Baazaar talak Aaya tha

Aen us waqt Muqadar ne Baghaawat kar di
Jab maen us Shakhs ke Meyaar Talak Aaya tha.

Comments