Mera mausam badalta ja raha hy

Mera mausam badalta ja raha hy
Koi mujhse nikalta ja raha hy

Najane kis qadar lauta hy khali
Musafir hath malta jaa raha hy

Mein apne dil k baray kya btaun
Diya hy aur jalta ja raha
hy

Ufaq par phelti jati hein shamen
Khayal e yar dhalta jaa raha hy

Mujhe rukna tha aakhir ruk gaya hun
Usay chalna tha, chalta ja raha hy

Zamana be khayali mein hamari
Qad o qamat masalta ja raha hy

Fana ik aisa zalim ajdaha hy
Jo sara kuch nigalta ja raha hy...

Comments