Kahaan Kahaan Se Mitaaye Ga Khush Gumaan Meray

Kahaan Kahaan Se Mitaaye Ga Khush Gumaan Meray
Teray Badan Se Teri Rooh Tak Nishaan Meray

Kaheen Bhi Jaa K Basaa Le TU Bhool Ki Basti
Muheet Hein Teray, Yaadon K Aasmaan Meray

Agar-Chay Faasla Do Chand Kar Liya TU Ne
Rawaan Dawaan Hein Teri Simt Kaarwaan Meray

Mein Jaaon Bhi To Kahaan Chorr Kar Teri Galiyaan
TU Kar Gaya Sabhi Raastey Dhuwaan Dhuwaan Meray

Uboor Hotey Nahi Roz Tay To Karta Hoon
Ye Hijar Faasley Ye Hijar-e-Be-Karaan Meray

Hawaa K Bairrey Kisi Aur Simat Behtey Hein
Khuley Hein Aur Kisi Simat Baadbaan Meray

Mein Apne Jazbon Ki Shiddat Se Khauf Khata Hoon
K Dushmanon Se Hein Barrh Kar Ye Meharbaan Meray

Mein Khuwaab Zaar Ki Karta To Hoon Chaman Bandi
Ujaarr De Na Koi Aa K Gulistaan Meray

Shagoofey Aa Gaye Palkoon Pe Dard K Aakhir
Chupaa Sakey Na Meray Raaz Raazdaan Meray

Comments