Bahut alfaaz dhoonde par bayaan karna nahi aaya,

Bahut alfaaz dhoonde par bayaan karna nahi aaya,
Hamein is be-zabaani ko zabaan karna nahi aaya,

Mila har khuwaab hum se ik anokhi dastaan le kar,
Magar ik khuwaab ko bhi dastaan karna nahi aaya,

Kisi soorat ye khaar-o-khas to yakja kar liye Tu ne,
Tujhe in khaar-o-khas ko aashiyaan karna nahi aaya,

Hum is tashheer k funn se kabhi waaqif na ho paaye,
Hamein kuch jugnuon ko kehkashaan karna nahi aaya,

Nibhaaya har taalluq hum ne ik be-laus jazbe se,
Kisi bhi maslehat ko darmiyaan karna nahi aaya,

Ye ashkon ki numaaish kiyon laga rakhi hai aankhon mein ?
Tujhey ik dard bhi dard-e-nihaan karna nahi aaya ?

Hawaa bhi sochti hai kiya bujhaaon un charaghon ko,
Jinhen so baar bujh kar bhi dhuwaan karna nahi aaya,

Tera chatnaar hona "Shaad" phir kis kaam ka thehra?
Agar is saaye ko ik saaibaan karna nahi aaya,

Comments