Usse kehna

Usse kehna
Mein aik kagaz hoon jab dil chahe mujh pe apni kahani likh dena,

Jab ghusa aaye to mujh pe utar lena aur mujhe phar dena,

Jab tumhare ansu nikle to mujhe istemal karna mein tumhare ansu pee jaon ga,

Magar mujhe istemal karne k bad phenk mat dena,

Jab tumhein sardi lage to mujhe jala dena,

Mein to khak ho jaon ga magar wafa ka rishta nibha jaon ga.

Comments