Aur teri mohabbat..

Tere khayal,
Tere khuwab
Aur teri mohabbat..

Zuban pay ghazal,
Hathon mn kitab
Aur teri mohabbat..

Gumnam alfaz,
Talkh sawalaat, benaam tehrirain,

Adhoray jawabat,
Aur teri mohabbat..

Thandi sehar, sard hawain
Urtay badal, taiz ghtaein
Aur teri mohabbat..

Halki dhoop, sohana mosam
Bheegy pair, shafaf aasman
Aur teri mohabbat..

Teri baatain, tanha raatain
Kabhi hijr, kabhi mulaqatain
Aur teri mohabbat..

Dar o baam, dhalti sham
Kitab qalam, tera naam
Aur teri mohabbat..

Phool titli, bagh-0-bahaar
Gaata darya, jhoomti lehrain
Aur teri mohabbat..

Chamakta chand, jagmag taaray
Awara jugnu, bheeghi shabnam
Aur teri mohabbat..

Jalte chiragh, urta dhua'an
Tera intizar, wasl ka samaan
Aur teri mohabbat..

Chupta suraj, halki barsaat
Dhanak k rang, tera saath
Aur teri mohabbat..

Sarhaany takya, bikhra bistar
Bechain karwatain, raat ka pehar
Aur teri mohabbat..

Comments