Ghazlon me tery piyar ka charcha na karen gay.

Ghazlon me tery piyar ka charcha na karen gay.
Ham tujh ko sar_e_aam yon ruswa na karen gay

Kion ham pe uthen sang_e_malamat ki fasilen.
Behtar hai tery sheher me aaya na karen gay.

Ye chand ye taary ye haseen raat ka aalam.
Mansoob tery naam se kiya kiya na karen gay.

Weraan howy Qasar_e_tamanna k dareechy.
Aabaad kabhi piyar ki duniya na karen gay.

Har cheez ki bohtaat me nuQsaan bahot hai.
Shidat se kisi shakhs ko chaha na karen gay...

Comments