Bol hawa us paar zamanay kaisay hain ?

Bol hawa
us paar zamanay
kaisay hain ?
Ujrray shèhar mèin
yaar puranay
kaisay hain ?

Chaand utarta hai ab kis kis Aangan
mèin ?
Kirnon sè mèhroom
gharanay
kaisay hain ?

Lab_Basta
darwazon par
kia Bèèt gai?
Galiyon sè mansoob afsanay
kaisay hain?

Jin k Jhurmat mein
shamèin dam torr
gaèèn,,
Woh pyaray
pagal parwanay
kaisay hain?

hum to khair-khabar sè
dar guzray,,
Apnay roothay
yaar na Jaanay
kaisay hain....?

Comments