Aik jugnoo hai k manzil k hawaalay maangay.
Aik titli hai k jugnoo say ujaalay maangay!
Aik wo hashar jo dil me bapa rehta hai,
Aur ik dil hai, zubaa'n par b jo taalay maangay.
Meri tasweer k sub rung zawal aamadah
Aur mera yaar k shah-kaar niraalay maangay.
Aakhrash dar-ba'dari Qais kee ab khatm hui,
Aaj to Laila nay b dais nikaalay maangay.
Rasam kuch aisi chali mosam-e-gul main k yahan,
Sub nay maangay b to bus khoon k pyaalay maangay.
Jaanay kis dor mei dharti pay mein utraa hoon,
Zinda rehnay k b insan hawaalay maangay!

Comments
Post a Comment