Najd-e-wahshat me wo damsaz ghzali ankhen

Najd-e-wahshat me wo damsaz ghzali ankhen
roshni deti hoi raat si kali ankhen,

waqif-e-gham, mutabasum, mutakalum, khamosh,

tum ne dekhi hen kahin esi nirali ankhen?

Dekh ab chashm-e-tasawur se unhen dekh ay dil,
Jo haqiqi thi hoin ab wo khyali ankhen,

tutty jaty hen phir zabt k bandhan saary,
phir ulatny ko hen ashqon ki pyali ankhen,

phir keh deti hen ehwal-e-ghum-o-dard-e-hayat,
garchy hum ne thi boht der sambhali ankhen,

shaam-e-furqat k sambhaly hue palkon pe diye,
saal bhar ab to manati hen diwali ankhen,

subh-e-umid ki surat wo firozan se chiragh,
laiye dhund k phir se esi jamali ankhen.

Comments