Main Ne Jo Geet Tere Piyaar Ki Khaatir Likhe,

Main Ne Jo Geet Tere Piyaar Ki Khaatir Likhe,
Aaj In Geeton Ko Baazaar Mein Le Aaya Hoon.

Aaj Dukaan Pe Neelaam Uthey Ga Un Ka,
Tu Ne Jin Geeton Pe Rakhi Thi Mohabbat Ki Asaas.
Aaj Chaandi K Taraazo Mein Tullay Gi Har Cheez,
Mere Afkaar Meri Shairi Mera Ihsaas.

Jo Teri Zat Se Mansoob Thay Un Geeton Ko,
Muflisi Jins Banane Pe Utar Aai Hai.
Bhook Tere Rukh-E-Rangeen K Fasano K Ivaz,
Chand Asha-E-Zaroorat Ki Tamanai Hai.

Dekh Us Arsa Geh-E-Mohabbat-O-Sarmaya Mein,
Mere Naghme Bhi Mere Pas Nahi Reh Nahi Sakte.
Tere Jalwe Kisi Zardar Ki Meeras Sahi,
Tere Khake Bhi Mere Pas Nahi Reh Sakte.

Aaj Un Geeton Ko Baazaar Mein Le Aaya Hoon,
Main Ne Jo Geet Tere Piyaar Ki Khaatir Likhe..

Comments