Wo Ada-e-Dilbari ho k Nawa-e-Ashiqaana

Wo Ada-e-Dilbari ho k
Nawa-e-Ashiqaana
Jo dilon ko fatah kar le
Wohi Fatih-e-Zamaana

Ye tera Jamal-e-Kamil, Ye Shabab ka zamaana
Dil-e-Dushmanan salamat, Dil-e-Dostan nishaana

Kabhi Hussan ki tabiyyat na badal saka zamaana
Wohi Naz-e-Be'niazi, Wohi
Shan-e-Khusrawaana

Main hoon is muqam par ab
K Firaq-o-Wasl kaisa
Mera Ishq bhi kahani, Tera Hussan bhi fasaana

Meri zindagi to guzri tere Hijar k sahare
Meri Mout ko bhi piyaaray koi chahiye bahaana..

Comments