Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya

Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Wo Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya

Jangal Mein Is Tarah Ki Udaasi Kabhi Na Thii
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se
Boli Wo Aankh Kiya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye
Wo Kiya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya

Comments