Ye Eid Bhi To Kitni Niraali Hai.

Ye Eid Bhi To Kitni Niraali Hai.
Bas Mera Ghar Hi Khaali Hai.
Wo Rooth K Kiya Gaye Hum Se.
Koi Rut Humen Nahi Manaane wali Hai.

Dar Dar Jaa K Hum Ne Un Ko Dhoonda Hai.
Par Phir Bhi Meri Nazar Sawaali Hai.
Ess Baagh Ka Bulbul Bohat Door Gaya hai.
Ess Waadi Mein To Ab Kehat-Sali Hai.

Phool Bhi Ab Seheme Seheme Se Lagte Hain.
Kiyon K Suna Hai Aandhi Aane wali Hai.
Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaaro.
Toota Hai Phool To Ab Roti Daali Hai.

Ay Eid Kiya Tum Khushiyan Lai Ho.
Jhooli Humari To Ab Tak Khaali Hai.

Comments