Bikharta Jism Meri Jaan, KitaB kya Hoga
Tumhare Naam se aB intSaab kya hoGa
Tum apni Neend, Bharey Shehar me Talash karo
Jo Aankh Raakh hui, Us me Khuwaab kya hoGa
Wo Meri Tohmatain, Apne Badan pe Kyu Orrhay
Mere Gunah ka, Usko SawaB kya hoga
MileGa Doobnay Waalo ko ajar, Jo bhi Milay
SamandrOn ka Magar, EhtsaaB kya hoGa
Hamaare Baad Hamen, Yad kyu karega koi
Hawa ka NaqSh,
Sar-e-Sat' h-e-Aab kya hoGa
Bikhartey ToOtey MOHSIN ko, Aur kya kehna
KharaB aur ! Wo Khaana Kharaab kya Hoga..
(Mohsin Naqvi)

Comments
Post a Comment