Teri yad thi Tera dard tha Main jahan raha Main jidhar gaya

Teri yad thi Tera dard tha Main jahan raha Main jidhar gaya
Mera din to yunhi guzar gaya jab sham hui Main bikhar gaya

Is abar ka mere yaar se kitna milta julta mizaj hy
Kabhi toot kar baras gaya Kabhi be-rukhi se guzar gaya

Jab chor dunga Main wo gali Usay yaad ayegi tab meri
Jab logon se wo puchhay ga to khabar milegi Men mar gaya

Aj tang hy wo mere nam se lekin dekhna mere dosto
Wo tumhi ko rok k puchay ga Wo kidhar gaya Wo kidhar gaya...!!

Comments