Kuch na Kehny ka bhi Charcha hi hua,

Kuch na Kehny ka bhi Charcha hi hua,
Gham Taaluq ka Tamasha hi hua,

Har Talab Zilat_E_Khuddari thi,
Tum na thy Sath! Ye Acha hi hua,

Log Mil Mil k Bichar jaaty hain,
HamSafar Toot'ta Patta hi hua,

Jab na Aankho'n sy Lahu bhi Tapky,
Dard Thehra hua Dariya hi hua,

Husn_E_Duniya hy Khyalo'n ka Sadaf,
Rang bhi Aankh ka Parda hi hua,

Har Sitam Hans k Saha hy
Dil bhi Pathar ka Namoona hi hua,

Comments