Kaati hy Gham Ki Raat Bare Ehatraam Se,

Kaati hy Gham Ki Raat Bare Ehatraam Se,
Aksar BuJha Liya hy CharaG0n K0 Sham Se,

R0shan Hai Apni Bazm Or Is Ehatmaam Se,
Kuch Dil B Jal Rhe hain Charagh0n K Naam Se,

Muddat Hui Hai Kh00n-E-Tamana Kiye Magr,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahu Dil K Jaam Se,

Subah-E-Bahaar Hum K0 Bulaati Rahi Magr,
Hum Khelte Rahe Kisi Zulf0n Ki Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehraa LaGa Hua,
Aahista Ay Hayaat Guzar Is Maqaam Se,

Kaati Tamaam Umr Fareb-E-Bahaar MEin,
Kaante Samet'te Rahe Ph00l0n K Naam Se,

Ye Aur Baat Hai K Aryaan Na Sun Sake,
Aawaz Us Ne Di Hai Hamen Har Maqaam Se,

Comments