Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum,
Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum.
Kabhi tumhen bhi tu daawa tha sard-mehri ka,
Kissi k lamss ko paa kar pighal rahi ho tum,
Batao kiyon nahi roka tha jaane waley ko,
Ab aik umar se kiyon hath mall rahi ho tum.
Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya,
Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum.
Hamaare dil ka khilona tumhi ne torra hai,
Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum.
Tumhein gumaa'n hai k main jaanta nahi kuch bhi,
Mujhe khabar hai k rasta badal rahi ho tum.

Comments
Post a Comment