Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,

Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,
Darya jo lag rahe they samandar se ja miley"

Har shakhs dorrta hai yahaan bheerr ki taraf,
Phir ye bhi chahta hai usay raasta miley"

Us aarzu ne aur tamasha bana diya,
Jo bhi miley hamaari taraf dekhta miley"

Duniya ko doosron ki nazar se na dekhiye,
Chehre na parrh sakey to kitaabon mein kiya miley"

Is dour-e-munsifi main zaruri nahin hai JOSH!
Jis shakhs ki khata ho usi ko saza miley".!

Comments