Sulagti shaam shab e sard k dabaao mein hai

Sulagti shaam shab e sard k dabaao mein hai
Badan hawaa ka, abhi barf  k alaao mein hai

Safeena ishq ka tofaan-e-hijar mein huwa gum
Hamaari aankh ka darya bohat bahaao mein hai

Abhi to jaaga nahi koonpalon mein khuwab-e-namoo
Shikaar k liye chashm-e-khizaa'n chunaao mein hai

Koi sitaara, koi deep, koi jugnoo ho
Dayaar-e-shaam ki zulmat bohat tanaao mein hai

Barrhi hain manzilain jis ki musaafaton k liye
Safar tamaam hai, wo qaafila parraao mein hai

Agarchay waqt ki thokar mein hai wujood mera
Meri anaa hai k masroof rakh rakhaao mein hai

Poetest; Parveen Haider

Comments