Shehar Mai Jashan e Eid e Baharan

Shehar Mai Jashan e Eid e Baharan
Ujre Dil Mai Dard Hazaraan
Ab Ke Eid Ye Kaisi Ayi Har Phaili Hai Tanhayi
Na Usne Khatt Likha Hai Na Hi Hum Ne Nazam Sunayi
Gajre Bhi Na Pehne Usne Na Hi Usne Baal Banaye
Ab Ke Eid Ka Chand Jo Dekha Humne Bhi Na Hath Uthaye
Ab Ke Beth Kar Tanhayi Mai Na Chahat Ke Geet Sune Hain
Na Uske Jooray Ki Khatir Hum Ne Koi Phool Chunne Hain
Na Hi Zikar Chala Uska Na Hai Koi Mehfil e Yaraan
Ankhon Mai Selaab Hai Kaisa Anso Hain Ya Baad o Baraan
Shehar Mai Jashan e Eid e Baharaan
Eid Pe Wo Na Ghar Se Nikli Hum Nikle To Aise Nikle
Dard Ki Sari Talkhi Ankh Se Anso Jaise Nikle
Eid Ke Din Bas Lab Se Nikla Kaisi Ye Dil Soz Ghari Hai
Na Yaron Se Hath Milaye Na Masjid Mai Eid Parhi Hai
Har So Rang Barangay Kapre Apne Tann Pe Suit Purana
Gar Yaron Ne Waja Pochi Kar Hi Lenge Koi Bahana
Waise To Tha Pyar Purana Par Is Din Tajdeed Thai Karte
Dekhte Ek Dojay Ki Sorat Tab Hum Dono Eid Thai Karte
Ab To Apna Milna Jaise Sehraon Mai Baad O Baraan
Shehar Mai Jashan e Eid O Baharaan

Comments