Sabhi mein hota hai mujh mein zara ziyada hai

Sabhi mein hota hai mujh mein zara ziyada hai
Mere wujood mein, main kam Khuda ziyada hai

Charagh dhar k hatheli pay, aa nahi sakta
Main jis jagah hon, wahan par hawa ziyada hai

Hamaray rishtay mein sach hai, muamlay mein nahi
Hamaray beech mein Jhooti anaa ziyada hai

Main khair-o-shar k tawazun mein jeena chahta hon
Mujhe pata to chalay, mujh mein kya ziyada hai?

Youn hi nahi miley maaani meri khmoshi ko
Bas apne aap ko main ne suna ziyada hai

Sabhi mein hota hai mujh mein zara ziyada hai Sabhi mein hota hai mujh mein zara ziyada hai Reviewed by Murad Khan on September 17, 2016 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.