Mujhe Mehsoos hota hay

Mujhe Mehsoos hota hay
Wo bilkul Meray jaisa hay
K jaisy aks pani main
Ya saya roobaroo meray
Wohi lehja wohi baaten
Wohi ankhon se hans dena
Kabi jo roothna  tou
Berukhi ki hud hi kar jana
Kabi ankhon k rasty se
Kahin dil main utar jana
Kabi bechen rakhna khud ko
Mujh ko b saza dena
Kabi ek pal main huns dena
Meri dunya saja dena
Kabi tou barf sa lehja
Nigah b sard kar lena
Kabi titli k sary rung
Meray daman main bhar dena
Mujay aksar ye lagta hay
Wo bilkul mery jaisa ha
K jaisy aks pani main
Ya saya roobaroo mery..

Comments

  1. Who is the poet of this poem?
    Mujhe mehsos hota hai..
    Wo bilkul meray jesa hai...

    ReplyDelete

Post a Comment