Khud pay tohmat na laga pehlay say

Khud pay tohmat na laga pehlay say
Main hoon weraan saraa pehlay say

Khud se milnay ki TU karnay day sa'ee
Youn na deewar utha pehlay say

Teri aamad pe ye hangaama nahi
Mujh mein hai shor bapaa pehlay say

Hauslay jama'aa mujhe karnay day
Saamnay mere na aa pehlay say

Uss se kya soorat-e-yakjaayi ho ?
Wo to apna bhi na tha, pehlay say

Khaif-e-radd duaa mat hona
Meri shaamil hai nawaa pehlay say

Teri soorat ka ye mohtaaj nahi
Dil hai aaeeina mera, pehlay say

Ye sataaish tujhe zaiba hi nahi
Main hoon paaband-e-wafaa pehlay say

Kiyon daraata hai, Jahannam se mujhe ?
Mujh mein hai khauf-e-khudaa pehlay say

Ay maseehaa ! teri taqseer nahi
Dil tha bemaar mera, pehlay say

Dosh kiyon kar doon khizaaon ko Sahar !
Rang tha mera, urraa pehlay say

Comments