Khoon khawaar ho gaya hai khoon raiz ho gaya hai
Naam-e-khudaa, tera gham, changez ho gaya hai
Duniya se munh chupa kar, khalwat kade mein jaa kar
Kuch roz se samandar, karaiz ho gaya hai
Ab ashk-e-gham bahaaon, ya qehqeha lagaaon
Paimaana-e-tabbasum, labraiz ho gaya hai
Ay rehguzaar-e-fursat ! main thak gaya, ijaazat !
Ab manzilon se kaafi parhaiz ho gaya hai
Us haath k bhi jauhar, khultay hain zakhm-e-darzakhm
Seena bhi rafta rafta, zarkhaiz ho gaya hai
Us ki nigaah mein thi, wo daawat-e-takallum
Mera sakoot kuch aur, mehmaiz ho gaya hai
Poet; Ahmed Shehryar
Comments
Post a Comment