Kabhi sehra tha aur ab aik zarra reh gaya hon

Kabhi sehra tha aur ab aik zarra reh gaya hon
Magar main phir bhi daryaon se acha reh gaya hon

Kisi ne dekhte hi dekhte nazren badal len
Jabhi to bante bante main adhora reh gaya hon

Palat kar phir nahi aaye wo din, khushbo bhare din
Main aakhir saans tak un ko bulata reh gaya hon

Mujhe darya ne panchon waqt dhoya hai, magar main
Sapot-e-khaak tha, mela kuchela reh gaya hon

Mere andar k panchhi cheh'chahate hi nahi ab
Mujhe lagta hai jaise khali pinjra reh gaya hon

Zamane ki hawa mujh par nazar garrhe huwy hai
Sar-e-mehrab ik mein hi to jalta reh gaya hon

Bas itna reh gaya hai roshni se rabt, yani
Kabhi main chaand tha, ab sirf Haala reh gaya hon

Jinhen jeeney ki dhun thi teri basti chhorr bethay
Yahan ab main hi tujh par marnay wala reh gaya hon

Comments