Kabhi iss tarah se bhi eid kar

Kabhi iss tarah se bhi eid kar
Abhi zid na kar dil e bekhabar
Ke pass e hujoom sitam giraan
Abhi kon tujh se wafa kare
Abhi kiss ko fursaten iss qadar
Ke samait kar teri kirchiyaan
Tere haq main khud se dua kare
Abhi zid na kare dil e bekhabar
Ke tah e ghubaar e gham e jahan
Kahan kho gaye tere chaaragar
Ke raah e hayaat main raayegaan
Kahan so gaye tere humsafar
Abhi ghamgusaron ki chott seh
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh
Abhi zid na kar mere be nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,
Kabhi yun bhi ho ke sar e uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,
Kisi sheher e zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn e turb mana
Kabhi iss tarah se bhi eid kar

Comments