Kab ishq k maaron ko sakoon hota hai sahib
Jab dard nahi hota, junoon hota hai sahib
Subhon hi pe moqoof nahi roshni-e-jaan
Shaamon mein bhi aankhon ka fasoon hota hai sahib
Be-kaasa faqeeron se nahi pochta koi
Kis tarha tamannaon ka khoon hota hai sahib
Ye ishq jo apna hamen hony nahi deta
Ye ishq bhi hota hai to kiyon hota hai sahib
Fitrat ka sabaq ehl-e-yaqeen bholty kab hain
Jab ishq kahe kun, fayaqon hota hai sahib
Wo to koi chokhat hi kashish rakhti hai, warna
Har dar pe kahan sar ye nagon hota hai sahib
Har shaam charaghon ki tarah jalti hain aankhen
Kya koi chala jaye to youn hota hai sahib?
Comments
Post a Comment