Is inkisar ka idraak tujh ko kam ho ga

Is inkisar ka idraak tujh ko kam ho ga
Mere charagh ki lau mein bhi thorra num ho ga

Lapak parron ga main, tasweer se teri janib
Ye teri simt mera aakhri qadam ho ga

Guzashta raat mujhe seerrihon mein yaad aaya
Teri thakan ka sabab bhi kisi ka gham ho ga

Main jaanta tha mujhe roshni wadi'at hai
Main jaanta tha mere haath mein qalam ho ga

Hamaray sanihay tehdaar kar diye gaye hain
Hamari teragi ka aag se janam ho ga

Main khushk jheel mein sehmi huwi nami hon dost
Mera machiron k geeton se khauf kam ho ga

Safar mein us ko agar pairr kam parre, Aarish!
To us ka rasta mere raastay mein zam ho ga

Comments