Har khushi teray naam ki main ne

Har khushi teray naam ki main ne
Waar di tujh pay zindagi main ne

Rabita jab kisi tarah na huwa
Teri tasweer dekh li main ne

Wo jahaan se sadaa guzarta tha
Chhorr di hai wohi gali main ne

Uss ne waada kiya tha aanay ka
Jaag kar shab guzaar di main ne

Yaad aaya wo hijar ka lamha
Dekh li rail jab kabhi main ne

Ik payaday ne maat sheh ko di
Chaal aisi bhi ik chali main ne

Poet; Rashid Qayyum Ansar

Comments