Aaya Tha Mere Paas Wo, Mauj-e-Khayaal Ki Tarah

Aaya Tha Mere Paas Wo, Mauj-e-Khayaal Ki Tarah
Choo K Guzar Gaya Mujhe, Baad-e-Shumaal Ki Tarah

Ishqya Jall Tarang Mein, Apni Hi Ik Tarang Mein
Rehta Hoon Haal Mast Sa, Banda-e-Haal Ki Tarah

Dekhte Dekhte Wo Shakhs, Itna Qareeb Aa Gaya
Aankh Mein Hi Sama Gaya, Nuqta-e-Khaal Ki Tarah

Karta Hai Baat Baat Par , Behs Wo Meri Zaat Par
Us Ne Nikali Hai Ajab, Jang-e-Jadaal Ki Tarah

Us Se Ye Kis Tarah Kahoon, Us Se Bichharr K Shaad Hoon
Us Ka Firaaq Hai Mujhe, Us K Wisaal Ki Tarah

Auron Mein Ghul Nahi Saka, Khud Pe Bhi Khul Nahi Saka
Apney Liye Muhaal Hon, Qaul-e-Muhaal Ki Tarah

Zardi-e-Rukh To Dekhna, Saahir-e-Zaar Ki Zara
Ek Ajeeb Cheez Hai, Rang-e-Malaal Ki Tarah

Comments