Saron pay nilagoon ye aasmaan thorri hain

Saron pay nilagoon ye aasmaan thorri hain
Jo aa rahay hain nazar, kul Jahaan thorri hain

Hamein na dhoondiye har roz uss gali mein, k hum
Aseer-e-kon-o-makaan thorri hain

Zara si dair ko thehray hain is kharaabay mein
Zamee'n k daaimi hum saaknaan thorri hain

Hamein na dekhiye gardaab bhar k aankhon mein
Shakista naao k hum baadbaan thorri hain

Bekhair day gi hamein saahilon ki taiz hawaa
K hum gharonday hain, pukhta chattaan thorri hain

Dhaly jo shaam to aapas mein baat kartay hain
Ye pairr aur zameen bezabaan thorri hain

Poet: Saleem Figaar

Comments