Rukhsat huwa to aankh mila kar nahi gaya

Rukhsat huwa to aankh mila kar nahi gaya
Wo kyun gaya hay ye bhi bata kar nahi gaya

Wo yun gaya ke bad-e-saba yaad aa gayi
Ehsaas tak bhi ham ko dila kar nahi gaya

Yun lag raha hay jesay abhi laot aaye ga
Jatay huwe charagh bujha kar nahi gaya

Bas ik lakeer khainch gaya darmiyan mein
Deewar raastay main bana kar nahi gaya

Shayad wo mil hi jaye magar justuju hay shart
Wo apnay naqsh-e-paa to miTa kar nahi gaya

Ghar main hay aaj tak wohi khushbu basi hui
Lagta hay yun k jesay wo aa kar nahi gaya

Tab tak to phool jesi hi taza thi us ki yaad
Jab tak wo pattion ko juda kar nahi gaya

 Rehnay diya na us ne kisi kaam ka mujhay
Aur khak mein bhi mujh ko mila kar nahi gaya

Wesi hi be-talab hay abhi meri zindagi
Wo khaar-o-khas mein aag laga kar nahi gaya

Shehzad ye gila hi raha us ki zaat se
Jatay huwe wo koi gila kar nahi gaya

Rukhsat huwa to aankh mila kar nahi gaya
Wo kyun gaya hay ye bhi bata kar nahi gaya

Comments