Khoshbo Ki Tarha Aya Wo Teez Hawaon Main

Khoshbo Ki Tarha Aya Wo Teez Hawaon Main
Manga Tha Jise Ham Ne Din Rat Duaon Main.

Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Ghar Se Nahi Nikla
Ye Chand Bohat Bhatka Sawan Ki Ghataon Main

Is Shehar Main Ik Larki Bilkul Ghazal Jesi
Bijli Si Ghataon Main Khushbo Si Hawaon Main

Mausam Ka Ashara Hai Khush Rehne Do Sanam Ko
Maso0m Mohabat Hai Pholon Ki Khataon Main

Ham Chand Sitaron Ki Rahon K Musafir Hain
Har Raat Chamkte Hain Tareek Khalaon Main

Sanam Bare Bhole Thay Sub Se Yehi Kehte Thay
Kuch Zehar Bhi Hota Hai Angrezi Dawaon Main
Book MoHaBaT GhAm Ki BaRish

Comments