Kar liye hain har kisi ne dost yaar apni taraf

Kar liye hain har kisi ne dost yaar apni taraf
Kar na paye hum yahan par log chaar apni taraf

Hum gharebon ko gharebon ki himayat bhi nahi
Kar liye hain us ne saray maaldaar apni taraf

Hum ko ghafil jaan kar sab ne uthaya faida
Le gaye hain maal sara hoshiyaar apni taraf

Doston ko dekh kar hathyar basta samnay
morr li khud hum ne tegh-e-aabdaar apni taraf

Gham mera halka mere ahbaab ne aisay kiya
Gham meri janib kiye aur ghamgusaar apni taraf

Comments