Inhen ab nahi teri hajaten inhen chhorr day

Inhen ab nahi teri hajaten inhen chhorr day
Ye jo mangte hain wazahaten inhen chhorr day

Jo akelay pan ki batta saken na museebaten
Hain fazool wo sabhi sangatain inhen chhorr day

Jo hain aanay walay azaab un ko shumaar kar
Jo guzar gayi hain azziyaten inhen chhorr day

Kabhi jannaten bhi mileen hain marny se peshtar
Ye tasalliyan ye basharaten inhen chhorr day

Hai Zaheer jin ke wujood se meri zindagi
Mujhe keh rahi hain zarorten inhen chhorr day
Inhen ab nahi teri hajaten inhen chhorr day Inhen ab nahi teri hajaten inhen chhorr day Reviewed by Murad Khan on May 08, 2016 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.