Ghum raah mai kharre thay

ShauQ e talab ko dard ki meezan mein toliye
Lekin kabhi Aarzoo k dareeche na kholiye

Shehar e wafaa ki simt uthaya hi tha Qadam
Toofan Aafaton k mere saath ho liye

Shana hila k fikar ne baidaar kar diya
Jab bistar e Anaa pe bahut dair so liye

Ham ko sata k chain se wo bhi na reh saka
Kaante khud apni raah me zaalim ne bo liye

Aankhon se apni karb ka baadal baras chuka
Jee khol k hum apni tabahi pe ro liye

Youn hasraton k dagg muhabbat me dhoo liye
Khud dil sy dil ki baat kahi aur roo liye

Ghar se chaly thay ham tu khushi ki talash me
Gham raah me kharry thay wahi saath ho liye

Comments